ghubar-e-rah ho kar chashm-e-mardum mein mahal paya
ġhubār-e-rāh ho kar chashm-e-mardum meñ mahal paayā
nihāl-e-ḳhāksārī ko lagā kar ham ne phal paayā
ba-rang-e-sham’ ham dil-soḳhtoñ ne bazm-e-'ālam meñ
zabāñ kholī na lekin baat karne kā mahal paayā
ra'ūnat kaun sī shai par hai in 'uzlat-guzīnoñ ko
hasīr-e-kohna dekhā dast-e-ḳhushk-o-pā-e-shal paayā
ġhazab hai manzil-e-hastī meñ āsā.ish-talab honā
hujūm-e-ḳhvāb se rahrav ne hai āḳhir ḳhalal paayā
hamesha josh-e-girya se rahā paanī meñ ai 'ātish'
kabhī taaza na lekin apne dil kā ye kañval paayā
ghubar-e-rah ho kar chashm-e-mardum mein mahal paya
nihaal-e-KHaksari ko laga kar hum ne phal paya
ba-rang-e-sham’ hum dil-soKHton ne bazm-e-'alam mein
zaban kholi na lekin baat karne ka mahal paya
ra'unat kaun si shai par hai in 'uzlat-guzinon ko
hasir-e-kohna dekha dast-e-KHushk-o-pa-e-shal paya
ghazab hai manzil-e-hasti mein aasaish-talab hona
hujum-e-KHwab se rahraw ne hai aaKHir KHalal paya
hamesha josh-e-girya se raha pani mein ai 'atish'
kabhi taza na lekin apne dil ka ye kanwal paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.