lahron ne TuTi kashti ko kamtar samajh liya
lahroñ ne TuuTī kashtī ko kamtar samajh liyā
achchhā huā ki kashtī ne tevar samajh liyā
jis daam jis ne chāhā usī daam meñ rakhā
mujh ko kisī ġharīb kā zevar samajh liyā
aatā rahā huuñ kaam mafādāt ke binā
mujh ko sabhī ne apnā muqaddar samajh liyā
maiñ chāhtā huuñ chhuTTiyāñ kuchh to inheñ mileñ
in uljhanoñ ne mujh ko to daftar samajh liyā
kuchh is liye bhī qāfila luTtā chalā gayā
ik rāhzan ko apnā hī rahbar samajh liyā
lahron ne TuTi kashti ko kamtar samajh liya
achchha hua ki kashti ne tewar samajh liya
jis dam jis ne chaha usi dam mein rakha
mujh ko kisi gharib ka zewar samajh liya
aata raha hun kaam mafadat ke bina
mujh ko sabhi ne apna muqaddar samajh liya
main chahta hun chhuTTiyan kuchh to inhen milen
in uljhanon ne mujh ko to daftar samajh liya
kuchh is liye bhi qafila luTta chala gaya
ek rahzan ko apna hi rahbar samajh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.