Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kam-baKHt dil bura ho teri aah aah ka

Hafeez Jalandhari

kam-baKHt dil bura ho teri aah aah ka

Hafeez Jalandhari

kam-baḳht dil burā ho tirī aah aah

husn-e-nigāh bhī na rahā gaah gaah

chheḌo na mīThī niiñd meñ ai munkar-o-nakīr

sone do bhaa.ī maiñ thakā-māñda huuñ raah

mere muqallidoñ ko mirī rāh-e-shauq meñ

har gaam par nishān milā sajda-gāh

dil gavāh hashr meñ aa kar phisal gayā

ab rahm par muāmla hai dād-ḳhvāh

kis muñh se kah rahe ho hameñ kuchh ġharaz nahīñ

kis muñh se tum ne vā'da kiyā thā nibāh

dil lene vaalī baat isī dil se pochhiye

mālik yahī hai mere safed o siyāh

pesh-e-ḳhudā chalo to maza jab hai ai 'hafīz'

na.ara ho lab pe ashhado-an-lā-ilāh

kam-baKHt dil bura ho teri aah aah ka

husn-e-nigah bhi na raha gah gah ka

chheDo na miThi nind mein ai munkar-o-nakir

sone do bhai main thaka-manda hun rah ka

mere muqallidon ko meri rah-e-shauq mein

har gam par nishan mila sajda-gah ka

dil sa gawah hashr mein aa kar phisal gaya

ab rahm par muamla hai dad-KHwah ka

kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin

kis munh se tum ne wa'da kiya tha nibah ka

dil lene wali baat isi dil se pochhiye

malik yahi hai mere safed o siyah ka

pesh-e-KHuda chalo to maza jab hai ai 'hafiz'

nara ho lab pe ashhado-an-la-ilah ka

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 190)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now