teri KHushbu ku-ba-ku hai tera husn ru-ba-ru hai
tirī ḳhushbū kū-ba-kū hai tirā husn rū-ba-rū hai
tirā 'aks chār-sū hai ye kamāl-e-justujū hai
na ḳhayāl-e-chashm-e-nam ho na savāl-e-pech-o-ḳham ho
na malāl-e-ranj-o-ġham ho yahī merī aarzū hai
tirā har taraf nishāñ hai tū zamīñ tā-āsmāñ hai
mujhe ḳhud pe bhī gumāñ hai ki ye maiñ huuñ yā ki tū hai
abhī haal kyā kahūñ maiñ ki 'ajīb haal huuñ maiñ
na hī be-libās huuñ maiñ na libās-e-be-rafū hai
ye ḳhizāñ na pahuñchī gul tak na hī gul ke narm dil tak
vo jo mushk-bū thā kal tak vo abhī bhī mushk-bū hai
hai hunar pe jo mahārat hai usī kī hī badaulat
nahīñ nukta-chīñ kī hājat mirā yaar 'aib-jū hai
na vo dīda-zeb paikar na vo zulf mushk-o-'ambar
tujhe kyā huā hai 'safdar' na vo rang hai na bū hai
teri KHushbu ku-ba-ku hai tera husn ru-ba-ru hai
tera 'aks chaar-su hai ye kamal-e-justuju hai
na KHayal-e-chashm-e-nam ho na sawal-e-pech-o-KHam ho
na malal-e-ranj-o-gham ho yahi meri aarzu hai
tera har taraf nishan hai tu zamin ta-asman hai
mujhe KHud pe bhi guman hai ki ye main hun ya ki tu hai
abhi haal kya kahun main ki 'ajib haal hun main
na hi be-libas hun main na libas-e-be-rafu hai
ye KHizan na pahunchi gul tak na hi gul ke narm dil tak
wo jo mushk-bu tha kal tak wo abhi bhi mushk-bu hai
hai hunar pe jo mahaarat hai usi ki hi badaulat
nahin nukta-chin ki hajat mera yar 'aib-ju hai
na wo dida-zeb paikar na wo zulf mushk-o-'ambar
tujhe kya hua hai 'safdar' na wo rang hai na bu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.