mathe ki shikan dil ki jalan jaanne wala
māthe kī shikan dil kī jalan jānñe vaalā
hai kaun yahāñ mere jatan jānñe vaalā
āsān nahīñ 'ishq to mushkil bhī nahīñ hai
kyā chāhiye bas ek lagan jānñe vaalā
sab jānte haiñ ruḳh pe numāyāñ tirī muskān
maiñ ek faqat ek huuñ man jānñe vaalā
tujh phuul sā dhartī pe mujhe phuul dikhā de
duniyā kā koī baaġh chaman jānñe vaalā
vo kaun thā kuchh bhī na kahā baat bhī kar lī
hogā koī guftār kā fan jānñe vaalā
bachtā hai mire chand savāloñ se bahut vo
in chand savāloñ kī tapan jānñe vaalā
aa.egā chalā jā.egā kab kaun kahāñ kyuuñ
hai ek vahī āvā-gaman jānñe vaalā
maanā ki tire chāhne vaale haiñ bahut hoñ
ham sā hai koī chāl-chalan jānñe vaalā
mathe ki shikan dil ki jalan jaanne wala
hai kaun yahan mere jatan jaanne wala
aasan nahin 'ishq to mushkil bhi nahin hai
kya chahiye bas ek lagan jaanne wala
sab jaante hain ruKH pe numayan teri muskan
main ek faqat ek hun man jaanne wala
tujh phul sa dharti pe mujhe phul dikha de
duniya ka koi bagh chaman jaanne wala
wo kaun tha kuchh bhi na kaha baat bhi kar li
hoga koi guftar ka fan jaanne wala
bachta hai mere chand sawalon se bahut wo
in chand sawalon ki tapan jaanne wala
aaega chala jaega kab kaun kahan kyun
hai ek wahi aawa-gaman jaanne wala
mana ki tere chahne wale hain bahut hon
hum sa hai koi chaal-chalan jaanne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.