kis KHwab ki chhuwan se main larza KHabar nahin
kis ḳhvāb kī chhuvan se maiñ larzā ḳhabar nahīñ
ik mauj-e-narm thī ki badan thā ḳhabar nahīñ
vo she'r meñ Dhalā ki maiñ us kī ġhazal huā
kis ne kise varaq pe utārā ḳhabar nahīñ
chaltā rahā maiñ us kī taraf ek 'umr tak
vo fāsla thā yā mirā rastā ḳhabar nahīñ
ik āḳhrī savāl nigāhoñ meñ rah gayā
kis baat par vo chhoḌ gayā thā ḳhabar nahīñ
mānūs bām-o-dar ne bhī pahchānā kab mujhe
maiñ kaun huuñ jo lauT ke aayā ḳhabar nahīñ
'imrān' 'umr kis ke surāġhoñ meñ kaT ga.ī
kyā kho gayā thā jis ko na paayā ḳhabar nahīñ
kis KHwab ki chhuwan se main larza KHabar nahin
ek mauj-e-narm thi ki badan tha KHabar nahin
wo she'r mein Dhala ki main us ki ghazal hua
kis ne kise waraq pe utara KHabar nahin
chalta raha main us ki taraf ek 'umr tak
wo fasla tha ya mera rasta KHabar nahin
ek aaKHri sawal nigahon mein rah gaya
kis baat par wo chhoD gaya tha KHabar nahin
manus baam-o-dar ne bhi pahchana kab mujhe
main kaun hun jo lauT ke aaya KHabar nahin
'imran' 'umr kis ke suraghon mein kaT gai
kya kho gaya tha jis ko na paya KHabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.