Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaaragari muhaal teri justuju mein hai

Zarwa Roy

chaaragari muhaal teri justuju mein hai

Zarwa Roy

MORE BYZarwa Roy

    chāragarī muhāl tirī justujū meñ hai

    so ḳhauf-e-indimāl tirī justujū meñ hai

    kal kī kise ḳhabar ki kare kaun justujū

    is dam ḳharāb haal tirī justujū meñ hai

    zinda hai terī yaad ko yakjā kiye hue

    vo sāhib-e-kamāl tirī justujū meñ hai

    maḳhmūr kar rahī hai nigāhoñ kī aarzū

    furqat meñ bhī visāl tirī justujū meñ hai

    ik baar dekh aa ke mirī hālat-e-tabāh

    kis nahj par ḳhayāl tirī justujū meñ hai

    hai tangī-e-hayāt bhī har lahza justujū

    jiinā magar muhāl tirī justujū meñ hai

    letī hai intiqām tire bin fanā-e-zīst

    ye saañs bhī bahāl tirī justujū meñ hai

    betābiyoñ ko baa'd tire kaun de javāb

    merā to har savāl tirī justujū meñ hai

    kar de jo āshnā mujhe 'ahd-e-'urūj se

    vo hasrat-e-zavāl tirī justujū meñ hai

    raqs-e-bahār ho ki ho bād-e-ḳhizāñ kā shor

    ek ek māh-o-sāl tirī justujū meñ hai

    tū duḳhtar-e-nasīm-e-sahar hai to raushnī

    ik ā.ina-misāl tirī justujū meñ hai

    chaaragari muhaal teri justuju mein hai

    so KHauf-e-indimal teri justuju mein hai

    kal ki kise KHabar ki kare kaun justuju

    is dam KHarab haal teri justuju mein hai

    zinda hai teri yaad ko yakja kiye hue

    wo sahib-e-kamal teri justuju mein hai

    maKHmur kar rahi hai nigahon ki aarzu

    furqat mein bhi visal teri justuju mein hai

    ek bar dekh aa ke meri haalat-e-tabah

    kis nahj par KHayal teri justuju mein hai

    hai tangi-e-hayat bhi har lahza justuju

    jina magar muhaal teri justuju mein hai

    leti hai intiqam tere bin fana-e-zist

    ye sans bhi bahaal teri justuju mein hai

    betabiyon ko ba'd tere kaun de jawab

    mera to har sawal teri justuju mein hai

    kar de jo aashna mujhe 'ahd-e-'uruj se

    wo hasrat-e-zawal teri justuju mein hai

    raqs-e-bahaar ho ki ho baad-e-KHizan ka shor

    ek ek mah-o-sal teri justuju mein hai

    tu duKHtar-e-nasim-e-sahar hai to raushni

    ek aaina-misal teri justuju mein hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now