Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai

Kaleem Aajiz

tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai

Kaleem Aajiz

tum gul the ham nikhār abhī kal baat hai

ham se thī sab bahār abhī kal baat hai

begāna samjho ġhair kaho ajnabī kaho

apnoñ meñ thā shumār abhī kal baat hai

aaj apne paas se hameñ rakhte ho duur duur

ham bin na thā qarār abhī kal baat hai

itrā rahe ho aaj pahan kar na.ī qabā

dāman thā taar taar abhī kal baat hai

aaj is qadar ġhurūr ye andāz ye mizāj

phirte the 'mīr' ḳhvār abhī kal baat hai

anjān ban ke pūchhte ho hai ye kab baat

kal hai baat yaar abhī kal baat hai

tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai

hum se thi sab bahaar abhi kal ki baat hai

begana samjho ghair kaho ajnabi kaho

apnon mein tha shumar abhi kal ki baat hai

aaj apne pas se hamein rakhte ho dur dur

hum bin na tha qarar abhi kal ki baat hai

itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba

daman tha tar tar abhi kal ki baat hai

aaj is qadar ghurur ye andaz ye mizaj

phirte the 'mir' KHwar abhi kal ki baat hai

anjaan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat

kal ki hai baat yar abhi kal ki baat hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now