pahle bahisht-e-jaan se guzara gaya hun main
pahle bahisht-e-jāñ se guzārā gayā huuñ maiñ
phir ramz-e-mā'rifat meñ utārā gayā huuñ maiñ
ye 'ishq ab kī baar kahāñ le ke jā.egā
pahle bhī us ke haath se maarā gayā huuñ maiñ
apnī samā'atoñ se mujhe yuuñ gurez thā
jaane ke baa'd hī to pukārā gayā huuñ maiñ
un kī munāfiqat bhī mujhe hai 'azīz-tar
apnoñ pe is tarah se bhī vaarā gayā huuñ maiñ
lafzoñ kī shawl shawl ne mujh ko sajā diyā
sochoñ se apnī aap nikhārā gayā huuñ maiñ
vo 'ishq mar gayā thā 'bashar' phir ye kyā huā
kyuuñ rog kī lahad meñ utārā gayā huuñ maiñ
pahle bahisht-e-jaan se guzara gaya hun main
phir ramz-e-ma'rifat mein utara gaya hun main
ye 'ishq ab ki bar kahan le ke jaega
pahle bhi us ke hath se mara gaya hun main
apni sama'aton se mujhe yun gurez tha
jaane ke ba'd hi to pukara gaya hun main
un ki munafiqat bhi mujhe hai 'aziz-tar
apnon pe is tarah se bhi wara gaya hun main
lafzon ki shawl shawl ne mujh ko saja diya
sochon se apni aap nikhaara gaya hun main
wo 'ishq mar gaya tha 'bashar' phir ye kya hua
kyun rog ki lahad mein utara gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.