ghar tere paikan ke rahne ka naya paida karun
ghar tire paikāñ ke rahne kā nayā paidā karūñ
dil hai siine meñ to dil meñ aabla paidā karūñ
saaf kahiye zabt yā dil meñ mazā paidā karūñ
kyuuñ janāb-e-'ishq in donoñ meñ kyā paidā karūñ
jaan denā yuuñ to badnāmī hai un ke 'ishq meñ
koī mar jaane kā hiila ai qazā paidā karūñ
zulm vo ījād karte karte āḳhir thak ga.e
ḳhud hī kahte haiñ ki ab dil meñ vafā paidā karūñ
gar ijāzat dījiye to le ke bose baar baar
aap ke seb-e-zanaḳhdāñ meñ mazā paidā karūñ
chashm-e-jānāñ meñ napā.ūñ surme kā dumbāla maiñ
nargis-e-bīmār kī ḳhātir 'asā paidā karūñ
ik mohabbat aap kī hai ik 'adāvat ġhair kī
aap hī farmā.iye is dil meñ kyā paidā karūñ
hai ye dil meñ un ke jo koī na 'āshiq sah sake
mashvara kar ke falak se vo jafā paidā karūñ
chāhiye haiñ us shah-e-ḳhūbī ko bālish ke liye
kis tarah itne par-o-bāl-e-humā paidā karūñ
kuchh dinoñ se haa.e un ke dil meñ aa.ī hai ye baat
sab pukār uTTheñ qazā ko vo adā paidā karūñ
ye ishāra hai samand-e-ḳhush-ḳhirām-e-yār kā
bad-chalan huuñ maiñ jo raftār-e-sabā paidā karūñ
'ishq se maiñ ne jo pūchhā kab karūñ fariyād-e-zulm
bol uThā maiñ un ke dil meñ jab vafā paidā karūñ
ek abrū un kā paidā kar ke ḳhāliq ne kahā
ab munāsib hai ki tujh sā dūsrā paidā karūñ
har qadam par hai ye īmā-e-'asā mujh piir se
tum karo nāpaid maiñ jo naqsh-e-pā paidā karūñ
ye zamīn-e-kūcha-e-qātil se aatī hai sadā
jazb ho ḳhūn-e-shahīdāñ to hinā paidā karūñ
kahtī hai un kī javānī shoḳhiyāñ āñkhoñ meñ haiñ
Daal kar maiñ niiñd kā pardā hayā paidā karūñ
un ke dar par ai 'fasāhat' hai ye mujh saa.il ko fikr
dard ho jis meñ bharā aisī sadā paidā karūñ
ghar tere paikan ke rahne ka naya paida karun
dil hai sine mein to dil mein aabla paida karun
saf kahiye zabt ya dil mein maza paida karun
kyun janab-e-'ishq in donon mein kya paida karun
jaan dena yun to badnami hai un ke 'ishq mein
koi mar jaane ka hila ai qaza paida karun
zulm wo ijad karte karte aaKHir thak gae
KHud hi kahte hain ki ab dil mein wafa paida karun
gar ijazat dijiye to le ke bose bar bar
aap ke seb-e-zanaKHdan mein maza paida karun
chashm-e-jaanan mein napaun surme ka dumbaala main
nargis-e-bimar ki KHatir 'asa paida karun
ek mohabbat aap ki hai ek 'adawat ghair ki
aap hi farmaiye is dil mein kya paida karun
hai ye dil mein un ke jo koi na 'ashiq sah sake
mashwara kar ke falak se wo jafa paida karun
chahiye hain us shah-e-KHubi ko baalish ke liye
kis tarah itne par-o-baal-e-huma paida karun
kuchh dinon se hae un ke dil mein aai hai ye baat
sab pukar uTThen qaza ko wo ada paida karun
ye ishaara hai samand-e-KHush-KHiram-e-yar ka
bad-chalan hun main jo raftar-e-saba paida karun
'ishq se main ne jo puchha kab karun fariyaad-e-zulm
bol uTha main un ke dil mein jab wafa paida karun
ek abru un ka paida kar ke KHaliq ne kaha
ab munasib hai ki tujh sa dusra paida karun
har qadam par hai ye ima-e-'asa mujh pir se
tum karo napaid main jo naqsh-e-pa paida karun
ye zamin-e-kucha-e-qatil se aati hai sada
jazb ho KHun-e-shahidan to hina paida karun
kahti hai un ki jawani shoKHiyan aankhon mein hain
Dal kar main nind ka parda haya paida karun
un ke dar par ai 'fasahat' hai ye mujh sail ko fikr
dard ho jis mein bhara aisi sada paida karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.