Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage nikal gaya hai dil KHud-kushi ke Dar se

Harshvardhan Singh

aage nikal gaya hai dil KHud-kushi ke Dar se

Harshvardhan Singh

MORE BYHarshvardhan Singh

    aage nikal gayā hai dil ḳhud-kushī ke Dar se

    marnā bhī rā.egāñ hai par zindagī ke Dar se

    ik aisī koTharī meñ ham ko rakhā gayā thā

    din raat chīḳhte the bas ḳhāmushī ke Dar se

    vo bebasī kā 'ālam pūchho usī se jānāñ

    paanī meñ Dūbtā hai jo tishnagī ke Dar se

    us ne nahīñ kahā hai rukne ko is liye ham

    kapḌe chhupā rahe haiñ ab vāpsī ke Dar se

    ik dūsre ke andar aise chhupe hue haiñ

    ham tīrgī ke Dar se vo raushnī ke Dar se

    kyā kuchh nahīñ huā hai sab chup khaḌe haiñ yak-dam

    kaaTe haiñ haath sab ne ik hathkaḌī ke Dar se

    aage nikal gaya hai dil KHud-kushi ke Dar se

    marna bhi raegan hai par zindagi ke Dar se

    ek aisi koThari mein hum ko rakha gaya tha

    din raat chiKHte the bas KHamushi ke Dar se

    wo bebasi ka 'alam puchho usi se jaanan

    pani mein Dubta hai jo tishnagi ke Dar se

    us ne nahin kaha hai rukne ko is liye hum

    kapDe chhupa rahe hain ab wapsi ke Dar se

    ek dusre ke andar aise chhupe hue hain

    hum tirgi ke Dar se wo raushni ke Dar se

    kya kuchh nahin hua hai sab chup khaDe hain yak-dam

    kaTe hain hath sab ne ek hathkaDi ke Dar se

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now