Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota

Mushafi Ghulam Hamdani

jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota

Mushafi Ghulam Hamdani

jab tak ye mohabbat meñ badnām nahīñ hotā

is dil ke ta.iiñ hargiz ārām nahīñ hotā

aalam se hamārā kuchh maz.hab nirālā hai

ya.anī haiñ jahāñ ham vaañ islām nahīñ hotā

kab va.ada nahīñ kartīñ milne tirī āñkheñ

kis roz nigāhoñ meñ paiġhām nahīñ hotā

baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne

kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā

miltā hai kabhī bosa ne gaalī paate haiñ

muddat huī kuchh ham ko in.aam nahīñ hotā

saaqī ke talattuf ne aalam ko chhakāyā hai

labrez hamārā ik jaam nahīñ hotā

kyuuñ tīrgī-e-tāl.e kuchh bhī nahīñ kartī

ye roz-e-musībat kyuuñ shaam nahīñ hotā

phir merī kamand us ne Daale tuḌā.ī hai

vo āhu-e-ram-ḳhurda phir raam nahīñ hotā

ne ishq ke qābil haiñ ne zohd ke darḳhur haiñ

ai 'mus.hafī' ab ham se kuchh kaam nahīñ hotā

jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota

is dil ke tain hargiz aaram nahin hota

aalam se hamara kuchh mazhab hi nirala hai

yani hain jahan hum wan islam nahin hota

kab wada nahin kartin milne ka teri aankhen

kis roz nigahon mein paigham nahin hota

baal apne baDhate hain kis waste diwane

kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota

milta hai kabhi bosa ne gali hi pate hain

muddat hui kuchh hum ko inam nahin hota

saqi ke talattuf ne aalam ko chhakaya hai

labrez hamara hi ek jam nahin hota

kyun tirgi-e-tale kuchh tu bhi nahin karti

ye roz-e-musibat ka kyun sham nahin hota

phir meri kamand us ne Dale hi tuDai hai

wo aahu-e-ram-KHurda phir ram nahin hota

ne ishq ke qabil hain ne zohd ke darKHur hain

ai 'mushafi' ab hum se kuchh kaam nahin hota

Source :
  • Book : kulliyat-e-mas.hafii (Pg. 84)
  • Author : ghulaam hamdaanii mashafii
  • Publication : qaumi council baraye -farogh urdu (2006)
  • Edition : 2006
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now