Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka

Agha Hajju Sharaf

jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka

Agha Hajju Sharaf

jab se huā hai ishq tire ism-e-zāt

āñkhoñ meñ phir rahā hai muraqqa.a najāt

mālik ke suḳhan meñ talavvun jo pā.iye

kahiye yaqīn lā.iye phir kis baat

daftar hamārī umr dekhoge jab kabhī

fauran use karoge muraqqa.a najāt

ulfat meñ mar miTe haiñ to pūchhe jā.eñge

ik roz lutf uThā.eñge is vārdāt

surḳhī ḳhatt-e-shauq meñ hājat jahāñ huī

ḳhūn-e-jigar meñ nok Duboyā davāt

mūjid jo nuur hai vo merā charāġh hai

parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt

ai sham-e-bazm-e-yār vo parvāna kaun thā

lau meñ tirī ye daaġh hai jis vafāt

mujh se to lan-tarāniyāñ us ne kabhī na kiiñ

muusī javāb de na sake jis baat

is be-ḳhudī deñge ḳhudā ko vo kyā javāb

dam bharte haiñ jo chand nafas ke hubāb

qudsī hue mutī.a vo taa.at bashar ne

kul iḳhtiyār haq ne diyā kā.enāt

aisā itāb-nāma to dekhā sunā nahīñ

aayā hai kis ke vāste suura barāt

zī-rūh mujh ko ne kiyā musht-e-ḳhāk se

banda rahūñgā maiñ tire is iltifāt

nāchīz huuñ magar maiñ huuñ un fasāna-go

qur.ān hamd-nāma hai jin sifāt

royā hai merā dīda-e-tar kis shahīd ko

mash.hūr ho gayā hai jo chashma furāt

aa.e to aa.e ālam-e-arvāh se vahāñ

dam bhar jahāñ nahīñ hai bharosā sabāt

dhuum us ke husn hai do-ālam meñ ai 'shraf'

ḳhurshīd roz hai vo mahtāb raat

jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka

aankhon mein phir raha hai muraqqa najat ka

malik hi ke suKHan mein talawwun jo paiye

kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka

daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi

fauran use karoge muraqqa najat ka

ulfat mein mar miTe hain to puchhe hi jaenge

ek roz lutf uThaenge is wardat ka

surKHi ki KHatt-e-shauq mein hajat jahan hui

KHun-e-jigar mein nok Duboya dawat ka

mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai

parwana hun main anjuman-e-kaenat ka

ai sham-e-bazm-e-yar wo parwana kaun tha

lau mein teri ye dagh hai jis ki wafat ka

mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kin

musi jawab de na sake jis ki baat ka

is be-KHudi ka denge KHuda ko wo kya jawab

dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka

qudsi hue mutia wo taat bashar ne ki

kul iKHtiyar haq ne diya kaenat ka

aisa itab-nama to dekha suna nahin

aaya hai kis ke waste sura baraat ka

zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-KHak se

banda rahunga main tere is iltifat ka

nachiz hun magar main hun un ka fasana-go

quran hamd-nama hai jin ki sifat ka

roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko

mashhur ho gaya hai jo chashma furaat ka

aae to aae aalam-e-arwah se wahan

dam bhar jahan nahin hai bharosa sabaat ka

dhum us ke husn ki hai do-alam mein ai 'shraf'

KHurshid roz ka hai wo mahtab raat ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now