Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan uski adaon par nikalti hi rahegi

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

jaan uski adaon par nikalti hi rahegi

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

jaan us adāoñ par nikaltī rahegī

ye chheḌ jo chaltī hai so chaltī rahegī

zālim to aadat hai satātā rahegā

apnī bhī tabī.at hai bahaltī rahegī

dil rashk-e-adū se hai sipand-e-sar-e-ātish

ye sham.a tirī bazm meñ jaltī rahegī

ġhamza tirā dhokā yūñhī detā rahegā

talvār tire kūche meñ chaltī rahegī

ik aan meñ vo kuchh haiñ to ik aan meñ kuchh haiñ

karvaT mirī taqdīr badaltī rahegī

andāz meñ shoḳhī meñ sharārat meñ hayā meñ

vaañ ek na ik baat nikaltī rahegī

'vahshat' ko rahā uns jo yuuñ fann-e-suḳhan se

ye shāḳh-e-hunar phūltī-phaltī rahegī

jaan us ki adaon par nikalti hi rahegi

ye chheD jo chalti hai so chalti hi rahegi

zalim ki to aadat hai satata hi rahega

apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi

dil rashk-e-adu se hai sipand-e-sar-e-atish

ye shama teri bazm mein jalti hi rahegi

ghamza tera dhoka yunhi deta hi rahega

talwar tere kuche mein chalti hi rahegi

ek aan mein wo kuchh hain to ek aan mein kuchh hain

karwaT meri taqdir badalti hi rahegi

andaz mein shoKHi mein shararat mein haya mein

wan ek na ek baat nikalti hi rahegi

'wahshat' ko raha uns jo yun fann-e-suKHan se

ye shaKH-e-hunar phulti-phalti hi rahegi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now