Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jhuT aisa kamal-e-hunar se bolta hai

Abdullah Nadeem

wo jhuT aisa kamal-e-hunar se bolta hai

Abdullah Nadeem

MORE BYAbdullah Nadeem

    vo jhuuT aisā kamāl-e-hunar se boltā hai

    ki saarā shahr usī nazar se boltā hai

    ye in dinoñ jo bahut bolne lagā hai dil

    koī batā.e to kis ke asar se boltā hai

    zamīn paaoñ ke nīche se boltī hai kabhī

    to āsmāñ kabhī bālā-e-sar se boltā hai

    darūn-e-ḳhāna ba-zāhir hai kaisā sabr-o-sukūt

    'ajab ḳhauf magar bām-o-dar se boltā hai

    dam-e-vidā' sunī hai kisī ne baat us

    ba-chashm-e-ḳhushk musāfir jo ghar se boltā hai

    na TuuT jaa.e kahīñ aa.ina samā'at

    vo baat kartā hai to chashm-e-tar se boltā hai

    dam-e-qayām kareñ baat saare 'uzv-e-badan

    chale to har qadam apnī kamar se boltā hai

    suḳhan asl ta'āruf hai aaj merā 'nadīm'

    shajar ho koī bhī apne samar se boltā hai

    wo jhuT aisa kamal-e-hunar se bolta hai

    ki sara shahr usi ki nazar se bolta hai

    ye in dinon jo bahut bolne laga hai dil

    koi batae to kis ke asar se bolta hai

    zamin paon ke niche se bolti hai kabhi

    to aasman kabhi baala-e-sar se bolta hai

    darun-e-KHana ba-zahir hai kaisa sabr-o-sukut

    'ajab sa KHauf magar baam-o-dar se bolta hai

    dam-e-wida' suni hai kisi ne baat us ki

    ba-chashm-e-KHushk musafir jo ghar se bolta hai

    na TuT jae kahin aaina sama'at ka

    wo baat karta hai to chashm-e-tar se bolta hai

    dam-e-qayam karen baat sare 'uzw-e-badan

    chale to har qadam apni kamar se bolta hai

    suKHan hi asl ta'aruf hai aaj mera 'nadim'

    shajar ho koi bhi apne samar se bolta hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now