itni si baat ka itna baDa afsana bana
itnī sī baat kā itnā baḌā afsāna banā
koī dīvāna huā hai koī dīvāna banā
vo ziyārat-gah-e-majnūñ bahut ābād huī
apnī vahshat ke liye ab koī vīrāna banā
yā mire kandhoñ pe rakh phir vahī 'iisā kī salīb
yā to phir merī tabī'at ko ġhulāmāna banā
jal ke marne meñ mazā kyā hai jalo aur jiyo
zindagī jis ko na raas aa.ī vo parvāna banā
ujrat-e-hijr na maañg apnā garebān na bech
'ishq karnā ho to kar 'ishq ko pesha na banā
khiḌkiyāñ band na kar dil kī dukāneñ na jalā
bamba.ī jaise hasīñ shahr ko sahrā na banā
maktab-e-‘ishq kā ye pahlā sabaq hai 'rāhī'
haath kaTvā le magar haath ko pyāla na banā
itni si baat ka itna baDa afsana bana
koi diwana hua hai koi diwana bana
wo ziyarat-gah-e-majnun bahut aabaad hui
apni wahshat ke liye ab koi virana bana
ya mere kandhon pe rakh phir wahi 'isa ki salib
ya to phir meri tabi'at ko ghulamana bana
jal ke marne mein maza kya hai jalo aur jiyo
zindagi jis ko na ras aai wo parwana bana
ujrat-e-hijr na mang apna gareban na bech
'ishq karna ho to kar 'ishq ko pesha na bana
khiDkiyan band na kar dil ki dukanen na jala
bambai jaise hasin shahr ko sahra na bana
maktab-e-‘ishq ka ye pahla sabaq hai 'rahi'
hath kaTwa le magar hath ko pyala na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.