Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itna na apne jame se bahar nikal ke chal

Bahadur Shah Zafar

itna na apne jame se bahar nikal ke chal

Bahadur Shah Zafar

itnā na apne jaame se bāhar nikal ke chal

duniyā hai chal-chalāv rasta sambhal ke chal

kam-zarf pur-ġhurūr zarā apnā zarf dekh

mānind josh-e-ġham na ziyāda ubal ke chal

fursat hai ik sadā yahāñ soz-e-dil ke saath

us par sapand-vār na itnā uchhal ke chal

ye ġhol-vash haiñ in ko samajh na rahnumā

saa.e se bach ke ahl-e-fareb-o-daġhal ke chal

auroñ ke bal pe bal na kar itnā na chal nikal

bal hai to bal ke bal pe kuchh apne bal ke chal

insāñ ko kal putlā banāyā hai us ne aap

aur aap vo kahtā hai putle ko kal ke chal

phir āñkheñ bhī to diiñ haiñ ki rakh dekh kar qadam

kahtā hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal

hai turfa amn-gāh nihāñ-ḳhāna-e-adam

āñkhoñ ke rū-ba-rū se logoñ ke Tal ke chal

kyā chal sakegā ham se ki pahchānte haiñ ham

laakh apnī chaal ko zālim badal ke chal

hai sham.a sar ke bal jo mohabbat meñ garm ho

parvāna apne dil se ye kahtā hai jal ke chal

bulbul ke hosh nik.hat-e-gul tarah uḌā

gulshan meñ mere saath zarā itr mal ke chal

gar qasd sū-e-dil hai tirā ai nigāh-e-yār

do-chār tiir paik se aage ajal ke chal

jo imtihān-e-tab.a kare apnā ai 'zafar'

to kah do us ko taur pe is ġhazal ke chal

itna na apne jame se bahar nikal ke chal

duniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal

kam-zarf pur-ghurur zara apna zarf dekh

manind josh-e-gham na ziyaada ubal ke chal

fursat hai ek sada ki yahan soz-e-dil ke sath

us par sapand-war na itna uchhal ke chal

ye ghol-wash hain in ko samajh tu na rahnuma

sae se bach ke ahl-e-fareb-o-daghal ke chal

auron ke bal pe bal na kar itna na chal nikal

bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal

insan ko kal ka putla banaya hai us ne aap

aur aap hi wo kahta hai putle ko kal ke chal

phir aankhen bhi to din hain ki rakh dekh kar qadam

kahta hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal

hai turfa amn-gah nihan-KHana-e-adam

aankhon ke ru-ba-ru se tu logon ke Tal ke chal

kya chal sakega hum se ki pahchante hain hum

tu lakh apni chaal ko zalim badal ke chal

hai shama sar ke bal jo mohabbat mein garm ho

parwana apne dil se ye kahta hai jal ke chal

bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uDa

gulshan mein mere sath zara itr mal ke chal

gar qasd su-e-dil hai tera ai nigah-e-yar

do-chaar tir paik se aage ajal ke chal

jo imtihan-e-taba kare apna ai 'zafar'

to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Mehran Amrohi

Mehran Amrohi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now