Tapke hain ashk-e-KHun jo barabar idhar udhar
Tapke hain ashk-e-KHun jo barabar idhar udhar
Waheeduddin Khan Mateen
MORE BYWaheeduddin Khan Mateen
Tapke haiñ ashk-e-ḳhūñ jo barābar idhar udhar
TukḌe haiñ ye jigar ke zamīñ par idhar udhar
laayā hai rang ḳhūn-e-shahīdān-e-ārzū
ghabrā ke dekhtā hai sitam-gar idhar udhar
pahlū badal badal ke guzārī shab-e-firāq
aise chubhe haiñ pahlū meñ nashtar idhar udhar
kaise alag kare koī zulmat ko nuur se
hai zulf shām-e-sub.h ke ruḳh par idhar udhar
un ke jabīn-o-'āriz-o-bāzū ke dū-ba-dū
bikhrī huī hai zulf-e-mo'ambar idhar udhar
hai bāġhbāñ ke gosha-e-dil meñ vo jalva-gar
gulchīñ ko kyā milegā ġhul-e-tar idhar udhar
rahrav ko kyā milegī kabhī manzil-e-hayāt
rāh-e-talab meñ bhaTkā hai rahbar idhar udhar
baiThā huuñ intizār meñ aayā na mere haath
ghūmā hai go ki bazm meñ sāġhar idhar udhar
dāman 'matīn' un kā daraḳhshāñ hai is tarah
jaise gire hoñ aañkh se gauhar idhar udhar
Tapke hain ashk-e-KHun jo barabar idhar udhar
TukDe hain ye jigar ke zamin par idhar udhar
laya hai rang KHun-e-shahidan-e-arzu
ghabra ke dekhta hai sitam-gar idhar udhar
pahlu badal badal ke guzari shab-e-firaq
aise chubhe hain pahlu mein nashtar idhar udhar
kaise alag kare koi zulmat ko nur se
hai zulf sham-e-subh ke ruKH par idhar udhar
un ke jabin-o-'ariz-o-bazu ke du-ba-du
bikhri hui hai zulf-e-mo'ambar idhar udhar
hai baghban ke gosha-e-dil mein wo jalwa-gar
gulchin ko kya milega ghul-e-tar idhar udhar
rahraw ko kya milegi kabhi manzil-e-hayat
rah-e-talab mein bhaTka hai rahbar idhar udhar
baiTha hun intizar mein aaya na mere hath
ghuma hai go ki bazm mein saghar idhar udhar
daman 'matin' un ka daraKHshan hai is tarah
jaise gire hon aankh se gauhar idhar udhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.