bila-unwan fasane ho rahe hain
bilā-'unvāñ fasāne ho rahe haiñ
baḌe dil-kash tarāne ho rahe haiñ
na ab vo haiñ na un kī yaad baaqī
unheñ dekhe zamāne ho rahe haiñ
charāġhāñ kar ga.e jo merī rāteñ
unhīñ ke din suhāne ho rahe haiñ
ham aa jaate magar ham kaise aate
bahāne ye purāne ho rahe haiñ
nizāmuddīñ kī bastī aa rahī hai
ki ḳhusrau ke fasāne ho rahe haiñ
zarā un kī suno bāteñ ki 'vāsif'
Thikānoñ par nishāne ho rahe haiñ
bila-'unwan fasane ho rahe hain
baDe dil-kash tarane ho rahe hain
na ab wo hain na un ki yaad baqi
unhen dekhe zamane ho rahe hain
charaghan kar gae jo meri raaten
unhin ke din suhane ho rahe hain
hum aa jate magar hum kaise aate
bahane ye purane ho rahe hain
nizamuddin ki basti aa rahi hai
ki KHusrau ke fasane ho rahe hain
zara un ki suno baaten ki 'wasif'
Thikanon par nishane ho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.