ab dil-e-na-tawan mein gunjaish
ab dil-e-nā-tavāñ meñ gunjā.ish
na rahī is makāñ meñ gunjā.ish
hogā taḳhlīq ik nayā taarā
dekhiye āsmāñ meñ gunjā.ish
yuuñ to taḳhlīq-e-haq hamīñ the magar
kab milī is jahāñ meñ gunjā.ish
shahr-e-āshuftagāñ basā lete
rakhte gar kun-fakāñ meñ gunjā.ish
nayā kirdār ḳhalq kar leñge
gar milī dāstāñ meñ gunjā.ish
aao 'az.har' udaas sāhil par
DhūñDne kārvāñ meñ gunjā.ish
ab dil-e-na-tawan mein gunjaish
na rahi is makan mein gunjaish
hoga taKHliq ek naya tara
dekhiye aasman mein gunjaish
yun to taKHliq-e-haq hamin the magar
kab mili is jahan mein gunjaish
shahr-e-ashuftagan basa lete
rakhte gar kun-fakan mein gunjaish
naya kirdar KHalq kar lenge
gar mili dastan mein gunjaish
aao 'azhar' udas sahil par
DhunDne karwan mein gunjaish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.