dil keh raha hai unki nazar dekhte hue
dil keh rahā hai un kī nazar dekhte hue
dekheñge kyā idhar vo udhar dekhte hue
ummīd thī kise ki guzar jā.eñge ye din
dil par vufūr-e-ġham kā asar dekhte hue
apnā to haal ye hai ki ik 'umr kaT ga.ī
duniyā-e-dil ko zer-o-zabar dekhte hue
hotā hai aap par bhī asar koī yā nahīñ
ye inqalāb-e-shām-o-sahar dekhte hue
kuchh us taraf se nāma-o-paiġhām hī sahī
muddat huī hai jānib-e-dar dekhte hue
bedād kījiye sitam ījād kījiye
lekin kisī kā qalb-o-jigar dekhte hue
'hairat' se iḳhtilāf kisī kā 'ajab nahīñ
'hairat' kā muntahā-e-nazar dekhte hue
dil keh raha hai un ki nazar dekhte hue
dekhenge kya idhar wo udhar dekhte hue
ummid thi kise ki guzar jaenge ye din
dil par wufur-e-gham ka asar dekhte hue
apna to haal ye hai ki ek 'umr kaT gai
duniya-e-dil ko zer-o-zabar dekhte hue
hota hai aap par bhi asar koi ya nahin
ye inqalab-e-sham-o-sahar dekhte hue
kuchh us taraf se nama-o-paigham hi sahi
muddat hui hai jaanib-e-dar dekhte hue
bedad kijiye sitam ijad kijiye
lekin kisi ka qalb-o-jigar dekhte hue
'hairat' se iKHtilaf kisi ka 'ajab nahin
'hairat' ka muntaha-e-nazar dekhte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.