mai-kada tera tere jam hamara kya hai
mai-kada terā tire jaam hamārā kyā hai
ham to muflis haiñ yahāñ kaam hamārā kyā hai
dekho ūñchī sī 'imārat kā bharam mat paalo
sab haiñ yāroñ ke dar-o-bām hamārā kyā hai
yuuñ to haq raah pe chalte haiñ zamāne meñ ham
jo bhī de do hameñ ilzām hamārā kyā hai
log ulfat ke liye terā hī dam bharte haiñ
aur ham ‘āshiq-e-badnām hamārā kyā hai
ḳhaar hote hī haiñ gulshan ki hifāzat ke liye
aa hī jā.eñge kisī kaam hamārā kyā hai
jaur sahnā hai kahāñ tak ye batā de koī
pūchhtā hai dil-e-nākām hamārā kyā hai
zulf un kī hai adā un kī tabassum un kā
deñ kisī ko bhī vo in'ām hamārā kyā hai
mai-kada tera tere jam hamara kya hai
hum to muflis hain yahan kaam hamara kya hai
dekho unchi si 'imarat ka bharam mat palo
sab hain yaron ke dar-o-baam hamara kya hai
yun to haq rah pe chalte hain zamane mein hum
jo bhi de do hamein ilzam hamara kya hai
log ulfat ke liye tera hi dam bharte hain
aur hum ‘ashiq-e-badnam hamara kya hai
KHar hote hi hain gulshan ki hifazat ke liye
aa hi jaenge kisi kaam hamara kya hai
jaur sahna hai kahan tak ye bata de koi
puchhta hai dil-e-nakaam hamara kya hai
zulf un ki hai ada un ki tabassum un ka
den kisi ko bhi wo in'am hamara kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.