Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazlon ki dhanak oDh mere shoala-badan tu

Mohsin Naqvi

ghazlon ki dhanak oDh mere shoala-badan tu

Mohsin Naqvi

ġhazloñ dhanak oḌh mire sho.ala-badan

hai merā suḳhan mirā mauzū-e-suḳhan

kaliyoñ tarah phuuT sar-e-shāḳh-e-tamannā

ḳhushbū tarah phail chaman-tā-ba-chaman

nāzil ho kabhī zehn pe āyāt sūrat

āyāt meñ Dhal kabhī jibrīl dahan

ab kyuuñ na sajā.ūñ maiñ tujhe diida o dil meñ

lagtā hai añdhere meñ savere kiran

pahle na koī ramz-e-suḳhan thī na kināya

ab nuqta-e-takmīl-e-hunar mehvar-e-fan

ye kam to nahīñ mirā meyār-e-nazar hai

ai dost mire vāste kuchh aur na ban

mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jāñ meñ

DhūñDegā kahāñ chāñdnī rātoñ kafan

ghazlon ki dhanak oDh mere shoala-badan tu

hai mera suKHan tu mera mauzu-e-suKHan tu

kaliyon ki tarah phuT sar-e-shaKH-e-tamanna

KHushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu

nazil ho kabhi zehn pe aayat ki surat

aayat mein Dhal ja kabhi jibril dahan tu

ab kyun na sajaun main tujhe dida o dil mein

lagta hai andhere mein sawere ki kiran tu

pahle na koi ramz-e-suKHan thi na kinaya

ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehwar-e-fan tu

ye kam to nahin tu mera meyar-e-nazar hai

ai dost mere waste kuchh aur na ban tu

mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jaan mein

DhunDega kahan chandni raaton ka kafan tu

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

ghazlon ki dhanak oDh mere shoala-badan tu Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now