Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai

Fani Badayuni

ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai

Fani Badayuni

ibtidā-e-ishq hai lutf-e-shabāb aane ko hai

sabr ruḳhsat ho rahā hai iztirāb aane ko hai

qabr par kis shaan se vo be-naqāb aane ko hai

āftāb-e-sub.h-e-mahshar ham-rikāb aane ko hai

mujh tak us mahfil meñ phir jām-e-sharāb aane ko hai

umr-e-rafta palTī aatī hai shabāb aane ko hai

haa.e kaisī kashmakash hai yaas bhī hai aas bhī

dam nikal jaane ko hai ḳhat javāb aane ko hai

ḳhat ke purze nāma-bar laash ke hamrāh haiñ

kis DhiTā.ī se mire ḳhat javāb aane ko hai

nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar

aas kahtī hai Thahar ḳhat javāb aane ko hai

ruuh ghabrā.ī huī phirtī hai merī laash par

kyā janāze par mere ḳhat javāb aane ko hai

bhar ke saaqī jām-e-mai ik aur aur jald

un nashīlī añkhḌiyoñ meñ phir hijāb aane ko hai

ḳhāna-e-tasvīr meñ aane ko hai tasvīr-e-yār

aa.ine meñ qad-e-ādam āftāb aane ko hai

phir hinā.ī hone vaale haiñ mire qātil ke haath

phir zabān-e-teġh par rañg-e-shahāb aane ko hai

gudgudātā hai tasavvur chuTkiyāñ letā hai dard

kyā kisī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ ḳhvāb aane ko hai

dekhiye maut aa.e 'fānī' koī fitna uThe

mere qaabū meñ dil-e-be-sabr-o-tāb aane ko hai

ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai

sabr ruKHsat ho raha hai iztirab aane ko hai

qabr par kis shan se wo be-naqab aane ko hai

aaftab-e-subh-e-mahshar ham-rikab aane ko hai

mujh tak us mahfil mein phir jam-e-sharab aane ko hai

umr-e-rafta palTi aati hai shabab aane ko hai

hae kaisi kashmakash hai yas bhi hai aas bhi

dam nikal jaane ko hai KHat ka jawab aane ko hai

KHat ke purze nama-bar ki lash ke hamrah hain

kis DhiTai se mere KHat ka jawab aane ko hai

na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar

aas kahti hai Thahar KHat ka jawab aane ko hai

ruh ghabrai hui phirti hai meri lash par

kya janaze par mere KHat ka jawab aane ko hai

bhar ke saqi jam-e-mai ek aur la aur jald la

un nashili ankhDiyon mein phir hijab aane ko hai

KHana-e-taswir mein aane ko hai taswir-e-yar

aaine mein qad-e-adam aaftab aane ko hai

phir hinai hone wale hain mere qatil ke hath

phir zaban-e-tegh par rang-e-shahab aane ko hai

gudgudata hai tasawwur chuTkiyan leta hai dard

kya kisi be-KHwab ki aankhon mein KHwab aane ko hai

dekhiye maut aae 'fani' ya koi fitna uThe

mere qabu mein dil-e-be-sabr-o-tab aane ko hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now