Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH

Haidar Ali Aatish

qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH

Haidar Ali Aatish

qudrat-e-haq hai sabāhat se tamāshā hai vo ruḳh

ḳhāl-e-mushkīñ dil-e-fir.auñ yad-e-baizā hai vo ruḳh

nuur jo us meñ hai ḳhurshīd meñ vo nuur kahāñ

ye agar husn chashma hai to dariyā hai vo ruḳh

phūTe vo aañkh jo dekhe nigah-e-bad se use

ā.īne se dil-e-ārif ke musaffā hai vo ruḳh

bazm-e-ālam hai tavajjoh se usī ke ābād

shahr vīrāñ hai agar jānib-e-sahrā hai vo ruḳh

sāmrī chashm-e-fusūñ-gar fusūñ-sāzī se

lab-e-jāñ-baḳhsh ke hone se masīhā hai vo ruḳh

dam-e-nazzāra laḌe marte haiñ āshiq us par

daulat-e-husn ke pesh aane se duniyā hai vo ruḳh

saaya karte haiñ humā uḌ ke paroñ se apne

tere ruḳhsār se dilchasp ho anqā hai vo ruḳh

gul ġhalat laala ġhalat mahr ġhalat maah ġhalat

koī saanī nahīñ lā-sānī hai yaktā hai vo ruḳh

kaun us meñ takalluf nahīñ paate har-chand

na murassā na mozahhab na mutallā hai vo ruḳh

ḳhāl-e-hindū haiñ parastish ke liye aa.e haiñ

putliyāñ āñkhoñ do but haiñ kalīsā hai vo ruḳh

kaun dil hai jo dīvāna nahīñ hai us

ḳhat-e-shab-rañg se sarmāya-e-saudā hai vo ruḳh

us ke dīdār kyūñ-kar na hoñ āñkheñ mushtāq

dil-rubā shai hai ajab sūrat-e-zebā hai vo ruḳh

tā-kujā sharh karūñ husn ke us ke 'ātish'

mahr hai maah hai jo kuchh hai tamāshā hai vo ruḳh

qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH

KHal-e-mushkin dil-e-firaun yad-e-baiza hai wo ruKH

nur jo us mein hai KHurshid mein wo nur kahan

ye agar husn ka chashma hai to dariya hai wo ruKH

phuTe wo aankh jo dekhe nigah-e-bad se use

aaine se dil-e-arif ke musaffa hai wo ruKH

bazm-e-alam hai tawajjoh se usi ke aabaad

shahr viran hai agar jaanib-e-sahra hai wo ruKH

samri chashm-e-fusun-gar ki fusun-sazi se

lab-e-jaan-baKHsh ke hone se masiha hai wo ruKH

dam-e-nazzara laDe marte hain aashiq us par

daulat-e-husn ke pesh aane se duniya hai wo ruKH

saya karte hain huma uD ke paron se apne

tere ruKHsar se dilchasp ho anqa hai wo ruKH

gul ghalat lala ghalat mahr ghalat mah ghalat

koi sani nahin la-sani hai yakta hai wo ruKH

kaun sa us mein takalluf nahin pate har-chand

na murassa na mozahhab na mutalla hai wo ruKH

KHal-e-hindu hain parastish ke liye aae hain

putliyan aankhon ki do but hain kalisa hai wo ruKH

kaun sa dil hai jo diwana nahin hai us ka

KHat-e-shab-rang se sarmaya-e-sauda hai wo ruKH

us ke didar ki kyun-kar na hon aankhen mushtaq

dil-ruba shai hai ajab surat-e-zeba hai wo ruKH

ta-kuja sharh karun husn ke us ke 'atish'

mahr hai mah hai jo kuchh hai tamasha hai wo ruKH

Source :
  • Book : https://rekhta.org/ebooks/kulliyat-e-aatish-haidar-ali-aatish-ebooks?lang=Ur (Pg. Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish)
  • Author : Haidar Ali Aatish
  • Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
  • Edition : 114

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now