Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand

Nida Fazli

nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand

Nida Fazli

nīl-gagan meñ tair rahā hai ujlā ujlā puurā chāñd

maañ lorī bachche ke duudh kaTore jaisā chāñd

munnī bholī bātoñ chaTkīñ tāroñ kaliyāñ

pappū ḳhāmoshī sharārat chhup chhup kar ubhrā chāñd

mujh se pūchho kaise kaaTī maiñ ne parbat jaisī raat

tum ne to godī meñ le kar ghanToñ chūmā hogā chāñd

pardesī suunī āñkhoñ meñ sho.ale se lahrāte haiñ

bhābī chheḌoñ bādal aapā chuTkī chāñd

tum bhī likhnā tum ne us shab kitnī baar piyā paanī

tum ne bhī to chhajje uupar dekhā hogā puurā chāñd

nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand

man ki lori sa bachche ke dudh kaTore jaisa chand

munni ki bholi baaton si chaTkin taron ki kaliyan

pappu ki KHamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand

mujh se puchho kaise kaTi main ne parbat jaisi raat

tum ne to godi mein le kar ghanTon chuma hoga chand

pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain

bhabi ki chheDon sa baadal aapa ki chuTki sa chand

tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani

tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand

Source :
  • Book : Shaher Men Gaon (Pg. 32)
  • Author : Nida Fazli
  • Publication : Mayar Publications Delhi (2012)
  • Edition : 2012

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now