Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa to hai hi muKhaalif mujhe Daraata hai kya

Khurshid Talab

hawa to hai hi muKhaalif mujhe Daraata hai kya

Khurshid Talab

havā to hai muḳhālif mujhe Darātā hai kyā

havā se pūchh ke koī diye jalātā hai kyā

guhar jo haiñ tah-e-dariyā to sañg-o-ḳhisht bhī haiñ

ye dekhnā hai mirī dastaras meñ aatā hai kyā

navāh-e-jāñ meñ jo chaltī hai kaisī āñdhī hai

diye lo tarah mujh meñ thartharātā hai kyā

gale meñ naam taḳhtī gulāb rakhte haiñ

charāg apnā ta.āruf kahīñ karātā hai kyā

nishān-e-qabr bhī chhoḌā nahīñ raqābat ne

kisī ko aise koī ḳhaak meñ milātā hai kyā

fanā ke ba.ad miltī hai zindagī ko davā

'talab' ye ramz tumhārī samajh meñ aatā hai kyā

hawa to hai hi muKHalif mujhe Daraata hai kya

hawa se puchh ke koi diye jalata hai kya

guhar jo hain tah-e-dariya to sang-o-KHisht bhi hain

ye dekhna hai meri dastaras mein aata hai kya

nawah-e-jaan mein jo chalti hai kaisi aandhi hai

diye ki lo ki tarah mujh mein thartharaata hai kya

gale mein nam ki taKHti gulab rakhte hain

charag apna taaruf kahin karaata hai kya

nishan-e-qabr bhi chhoDa nahin raqabat ne

kisi ko aise koi KHak mein milata hai kya

fana ke baad hi milti hai zindagi ko dawa

'talab' ye ramz tumhaari samajh mein aata hai kya

RECITATIONS

Khurshid Talab

Khurshid Talab,

Khurshid Talab

hawa to hai hi muKhaalif mujhe Daraata hai kya Khurshid Talab

Source :
  • Book : Jahaan Gard (Pg. 52)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now