Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar

Adeem Hashmi

aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar

Adeem Hashmi

āġhosh-e-sitam meñ chhupā le koī aa kar

tanhā to taḌapne se bachā le koī aa kar

sahrā meñ ugā huuñ ki mirī chhāñv koī paa.e

hiltā huuñ ki pattoñ havā le koī aa kar

biktā to nahīñ huuñ na mire daam bahut haiñ

raste meñ paḌā huuñ ki uThā le koī aa kar

kashtī huuñ mujhe koī kināre se to khole

tūfāñ ke kar jaa.e havāle koī aa kar

jab khīñch liyā hai mujhe maidān-e-sitam meñ

dil khol ke hasrat bhī nikāle koī aa kar

do chaar ḳharāshoñ se ho taskīn-e-jafā kyā

shīsha huuñ to patthar pe uchhāle koī aa kar

mere kisī ehsān badla na chukā.e

apnī vafāoñ sila le koī aa kar

aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar

tanha to taDapne se bacha le koi aa kar

sahra mein uga hun ki meri chhanw koi pae

hilta hun ki patton ki hawa le koi aa kar

bikta to nahin hun na mere dam bahut hain

raste mein paDa hun ki uTha le koi aa kar

kashti hun mujhe koi kinare se to khole

tufan ke hi kar jae hawale koi aa kar

jab khinch liya hai mujhe maidan-e-sitam mein

dil khol ke hasrat bhi nikale koi aa kar

do chaar KHarashon se ho taskin-e-jafa kya

shisha hun to patthar pe uchhaale koi aa kar

mere kisi ehsan ka badla na chukae

apni hi wafaon ka sila le koi aa kar

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Dastavez (Pg. 77)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now