Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai

Firaq Gorakhpuri

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai

Firaq Gorakhpuri

har naala tire dard se ab aur kuchh hai

har naġhma sar-e-bazm-e-tarab aur kuchh hai

arbāb-e-vafā jaan bhī dene ko haiñ tayyār

hastī magar husn-e-talab aur kuchh hai

ye kaam na le nāla-o-faryād-o-fuġhāñ se

aflāk ulaT dene Dhab aur kuchh hai

ik silsila-e-rāz hai jiinā ki ho marnā

jab aur kuchh thā magar ab aur kuchh hai

kuchh mehr-e-qayāmat hai na kuchh nār-e-jahannam

hushyār ki vo qahr-o-ġhazab aur kuchh hai

maz.hab ḳharābī hai na aḳhlāq pastī

duniyā ke masā.ib sabab aur kuchh hai

behūda-sarī sajde meñ hai jaan khapānā

ā.īn-e-mohabbat meñ adab aur kuchh hai

kyā husn ke andāz-e-taġhāful shikāyat

paimān-e-vafā ishq jab aur kuchh hai

duniyā ko jagā de jo adam ko bhī sulā de

sunte haiñ ki vo roz vo shab aur kuchh hai

āñkhoñ ne 'firāq' aaj na pūchho jo dikhāyā

jo kuchh nazar aatā hai vo sab aur kuchh hai

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai

har naghma sar-e-bazm-e-tarab aur hi kuchh hai

arbab-e-wafa jaan bhi dene ko hain tayyar

hasti ka magar husn-e-talab aur hi kuchh hai

ye kaam na le nala-o-faryaad-o-fughan se

aflak ulaT dene ka Dhab aur hi kuchh hai

ek silsila-e-raaz hai jina ki ho marna

jab aur hi kuchh tha magar ab aur hi kuchh hai

kuchh mehr-e-qayamat hai na kuchh nar-e-jahannam

hushyar ki wo qahr-o-ghazab aur hi kuchh hai

mazhab ki KHarabi hai na aKHlaq ki pasti

duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai

behuda-sari sajde mein hai jaan khapana

aain-e-mohabbat mein adab aur hi kuchh hai

kya husn ke andaz-e-taghaful ki shikayat

paiman-e-wafa ishq ka jab aur hi kuchh hai

duniya ko jaga de jo adam ko bhi sula de

sunte hain ki wo roz wo shab aur hi kuchh hai

aankhon ne 'firaq' aaj na puchho jo dikhaya

jo kuchh nazar aata hai wo sab aur hi kuchh hai

RECITATIONS

Khalid Mubashshir

Khalid Mubashshir,

Khalid Mubashshir

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai Khalid Mubashshir

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now