Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe

Hafeez Jalandhari

hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe

Hafeez Jalandhari

hai azal is ġhalat baḳhshī pe hairānī mujhe

ishq lā-fānī milā hai zindagī faanī mujhe

maiñ vo bastī huuñ ki yād-e-raftagāñ ke bhes meñ

dekhne aatī hai ab merī vīrānī mujhe

thī yahī tamhīd mere mātamī anjām

phuul hañste haiñ to hotī hai pashīmānī mujhe

husn be-parda huā jaatā hai rab kyā karūñ

ab to karnī paḌī dil nigahbānī mujhe

bāñdh kar roz-e-azal shīrāza-e-marg-o-hayāt

sauñp goyā do aalam pareshānī mujhe

pūchhtā phirtā thā dānāoñ se ulfat ke rumūz

yaad ab rah rah ke aatī hai vo nādānī mujhe

hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe

ishq la-fani mila hai zindagi fani mujhe

main wo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein

dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe

thi yahi tamhid mere matami anjam ki

phul hanste hain to hoti hai pashimani mujhe

husn be-parda hua jata hai ya rab kya karun

ab to karni hi paDi dil ki nigahbani mujhe

bandh kar roz-e-azal shiraaza-e-marg-o-hayat

saunp di goya do aalam ki pareshani mujhe

puchhta phirta tha danaon se ulfat ke rumuz

yaad ab rah rah ke aati hai wo nadani mujhe

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now