Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai

Gauhar Raza

europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai

Gauhar Raza

MORE BYGauhar Raza

    europe jis vahshat se ab bhī sahmā sahmā rahtā hai

    ḳhatra hai vo vahshat mere mulk meñ aag lagā.egī

    german gass-kadoñ se ab tak ḳhuun badbū aatī hai

    andhī vatan-parastī ham ko us raste le jā.egī

    andhe kueñ meñ jhūTh naav tez chalī thī maan liyā

    lekin bāhar raushan duniyā tum se sach bulvā.egī

    nafrat meñ jo pale-baḌhe haiñ nafrat meñ jo khele haiñ

    nafrat dekho aage aage un se kyā karvā.egī

    fankāroñ se pūchh rahe ho kyoñ lauTā.e haiñ sammān

    pūchho kitne chup baiThe haiñ sharm unheñ kab aa.egī

    ye mat khaao vo mat pahno ishq to bilkul karnā mat

    desh-droh chhāp tumhāre uupar bhī lag jā.egī

    ye mat bhūlo aglī nasleñ raushan sho.ala hotī haiñ

    aag kuredoge chiñgārī dāman tak to aa.egī

    europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai

    KHatra hai wo wahshat mere mulk mein aag lagaegi

    german gass-kadon se ab tak KHun ki badbu aati hai

    andhi watan-parasti hum ko us raste le jaegi

    andhe kuen mein jhuTh ki naw tez chali thi man liya

    lekin bahar raushan duniya tum se sach bulwaegi

    nafrat mein jo pale-baDhe hain nafrat mein jo khele hain

    nafrat dekho aage aage un se kya karwaegi

    fankaron se puchh rahe ho kyon lauTae hain samman

    puchho kitne chup baiThe hain sharm unhen kab aaegi

    ye mat khao wo mat pahno ishq to bilkul karna mat

    desh-droh ki chhap tumhaare upar bhi lag jaegi

    ye mat bhulo agli naslen raushan shoala hoti hain

    aag kuredoge chingari daman tak to aaegi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now