Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya

Nida Fazli

girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    girjā meñ mandiroñ meñ azānoñ meñ baT gayā

    hote sub.h aadmī ḳhānoñ meñ baT gayā

    ik 'ishq naam jo parinda ḳhalā meñ thā

    utrā jo shahr meñ to dukānoñ meñ baT gayā

    pahle talāshā khet phir dariyā khoj

    baaqī vaqt gehūñ ke dānoñ meñ baT gayā

    jab tak thā āsmān meñ sūraj sabhī thā

    phir yuuñ huā vo chand makānoñ meñ baT gayā

    haiñ taak meñ shikārī nishāna haiñ bastiyāñ

    'ālam tamām chand machānoñ meñ baT gayā

    ḳhabroñ ne musavvarī ḳhabreñ ġhazal banīñ

    zinda lahū to tiir kamānoñ meñ baT gayā

    girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya

    hote hi subh aadmi KHanon mein baT gaya

    ek 'ishq nam ka jo parinda KHala mein tha

    utra jo shahr mein to dukanon mein baT gaya

    pahle talasha khet phir dariya ki khoj ki

    baqi ka waqt gehun ke danon mein baT gaya

    jab tak tha aasman mein suraj sabhi ka tha

    phir yun hua wo chand makanon mein baT gaya

    hain tak mein shikari nishana hain bastiyan

    'alam tamam chand machanon mein baT gaya

    KHabron ne ki musawwari KHabren ghazal banin

    zinda lahu to tir kamanon mein baT gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now