jumud-e-ab-o-gil jo hai wo jata hai kahan mujhse
jumūd-e-āb-o-gil jo hai vo jaatā hai kahāñ mujh se
'abas fariyād kartā hai darā-e-kārvāñ mujh se
nazar nazzāra-ḳhū merī jabīñ hangāma-jū merī
numāyāñ hai mirā shauq-e-sujūd-e-āstāñ mujh se
mire dil ne mirī āñkhoñ se rakkhā tujh ko poshīda
tirī jab baat aa.ī ruk ga.ī merī zabāñ mujh se
tum apnī inqalāb-angeziyoñ kī dāstāñ sun lo
agar sun lo kisī din aa ke merī dāstāñ mujh se
ḳhabar kis ko nahīñ hai terī shān-e-be-niyāzī kī
nahīñ mā'lūm phir kyuuñ hai zamāna bad-gumāñ mujh se
kisī sūrat qafas meñ zindagī apnī guzar jaatī
sulūk achchhā nahīñ kartī hai yād-e-āshiyāñ mujh se
sar-e-mahfil churānā aañkh kā thā ek afsāna
vo tū ne keh diyā ḳhud jo na hotā thā bayāñ mujh se
niyāz-e-bandagī ko dekh kar ye shān-e-istiġhnā
batā kyā chāhtā hai terā nāz-e-jāñ-sitāñ mujh se
kiyā thā rūh-e-'ġhālib' se jo maiñ ne kasb-e-fan 'vahshat'
suḳhanvar sīkhte haiñ aaj andāz-e-bayāñ mujh se
jumud-e-ab-o-gil jo hai wo jata hai kahan mujh se
'abas fariyaad karta hai dara-e-karwan mujh se
nazar nazzara-KHu meri jabin hangama-ju meri
numayan hai mera shauq-e-sujud-e-astan mujh se
mere dil ne meri aankhon se rakkha tujh ko poshida
teri jab baat aai ruk gai meri zaban mujh se
tum apni inqalab-angeziyon ki dastan sun lo
agar sun lo kisi din aa ke meri dastan mujh se
KHabar kis ko nahin hai teri shan-e-be-niyazi ki
nahin ma'lum phir kyun hai zamana bad-guman mujh se
kisi surat qafas mein zindagi apni guzar jati
suluk achchha nahin karti hai yaad-e-ashiyan mujh se
sar-e-mahfil churana aankh ka tha ek afsana
wo tu ne keh diya KHud jo na hota tha bayan mujh se
niyaz-e-bandagi ko dekh kar ye shan-e-istighna
bata kya chahta hai tera naz-e-jaan-sitan mujh se
kiya tha ruh-e-'ghaalib' se jo main ne kasb-e-fan 'wahshat'
suKHanwar sikhte hain aaj andaz-e-bayan mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.