ek dard ka qissa yaad raha main dil ka lagana bhul gaya
ik dard kā qissa yaad rahā maiñ dil kā lagānā bhuul gayā
ro ro ke sunāyā afsāna 'unvān batānā bhuul gayā
kab kis kī nazar se apnī nazar Takrā.ī kahāñ tū yaad to kar
mad.hosh nazar ne mast kiyā maiñ hosh meñ aanā bhuul gayā
saaqī kī nazar se pī maiñ ne maiḳhāne meñ kohrām machā
rindoñ ne bahut pūchhā lekin maiñ naam batānā bhuul gayā
kal tak maiñ kisī kī bazm meñ thā ab DhūñDh rahā huuñ mahfil ko
ik raag alāpā thā lekin maiñ giit sunānā bhuul gayā
gustāḳh nahīñ be-bāk sahī nā-gāh nigāheñ chaar huiiñ
maiñ sar ko jhukānā bhuul gayā nazroñ ko girānā bhuul gayā
ek dard ka qissa yaad raha main dil ka lagana bhul gaya
ro ro ke sunaya afsana 'unwan batana bhul gaya
kab kis ki nazar se apni nazar Takrai kahan tu yaad to kar
madhosh nazar ne mast kiya main hosh mein aana bhul gaya
saqi ki nazar se pi main ne maiKHane mein kohram macha
rindon ne bahut puchha lekin main nam batana bhul gaya
kal tak main kisi ki bazm mein tha ab DhunDh raha hun mahfil ko
ek rag alapa tha lekin main git sunana bhul gaya
gustaKH nahin be-bak sahi na-gah nigahen chaar huin
main sar ko jhukana bhul gaya nazron ko girana bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.