Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

Irfan Siddiqi

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

Irfan Siddiqi

faqīrī meñ ye thoḌī tan-āsānī bhī karte haiñ

ki ham dast-e-karam duniyā pe arzānī bhī karte haiñ

dar-e-rūhāniyāñ chākarī bhī kaam hai apnā

butoñ mamlikat meñ kār-e-sultānī bhī karte haiñ

junūñ vāloñ ye shā.istagī turfa-tamāshā hai

rafū bhī chāhte haiñ chāk-dāmānī bhī karte haiñ

mujhe kuchh shauq-e-nazzāra bhī hai phūloñ ke chehroñ

magar kuchh phuul chehre merī nigrānī bhī karte haiñ

jo sach pūchho to zabt-e-ārzū se kuchh nahīñ hotā

parinde mere siine meñ pur-afshānī bhī karte haiñ

hamāre dil ko ik āzār hai aisā nahīñ lagtā

ki ham daftar bhī jaate haiñ ġhazal-ḳhvānī bhī karte haiñ

bahut nauhagarī karte haiñ dil ke TuuT jaane

kabhī aap apnī chīzoñ nigahbānī bhī karte haiñ

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain

dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna

buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain

junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai

rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain

mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka

magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain

jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota

parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain

hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta

ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain

bahut nauhagari karte hain dil ke TuT jaane ki

kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 53)
  • Author :Irfan Siddiqi
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : 2nd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now