Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

Akbar Allahabadi

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

Akbar Allahabadi

falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñ

Dor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñ

ma.arifat ḳhāliq aalam meñ bahut dushvār hai

shahr-e-tan meñ jab ki ḳhud apnā patā miltā nahīñ

ġhāfiloñ ke lutf ko kaafī hai duniyāvī ḳhushī

āqiloñ ko be-ġham-e-uqbā mazā miltā nahīñ

kashti-e-dil ilāhī bahr-e-hastī meñ ho ḳhair

nāḳhudā milte haiñ lekin bā-ḳhudā miltā nahīñ

ġhāfiloñ ko kyā sunā.ūñ dāstān-e-ishq-e-yār

sunñe vaale milte haiñ dard-āshnā miltā nahīñ

zindagānī mazā miltā thā jin bazm meñ

un qabroñ bhī ab mujh ko patā miltā nahīñ

sirf zāhir ho gayā sarmāya-e-zeb-o-safā

kyā ta.ajjub hai jo bātin bā-safā miltā nahīñ

puḳhta tabaoñ par havādis nahīñ hotā asar

kohsāroñ meñ nishān-e-naqsh-e-pā miltā nahīñ

shaiḳh-sāhib barhaman se laakh barteñ dostī

be-bhajan gaa.e to mandir se Tikā miltā nahīñ

jis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñ

zindagī hai talḳh jiine mazā miltā nahīñ

log kahte haiñ ki bad-nāmī se bachnā chāhiye

keh do be us ke javānī mazā miltā nahīñ

ahl-e-zāhir jis qadar chāheñ kareñ bahs-o-jidāl

maiñ ye samjhā huuñ ḳhudī meñ to ḳhudā miltā nahīñ

chal base vo din ki yāroñ se bharī thī anjuman

haa.e afsos aaj sūrat-āshnā miltā nahīñ

manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezāz hai

shaah sab baste haiñ yaañ koī gadā miltā nahīñ

baar taklīfoñ mujh par bār-e-ehsāñ se hai sahl

shukr hai agar hājat-ravā miltā nahīñ

chāñdnī rāteñ bahār apnī dikhātī haiñ to kyā

be tire mujh ko to lutf ai mah-laqā miltā nahīñ

ma.anī-e-dil kare iz.hār 'akbar' kis tarah

lafz mauzūñ bahr-e-kashf-e-mudda.ā miltā nahīñ

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin

marifat KHaliq ki aalam mein bahut dushwar hai

shahr-e-tan mein jab ki KHud apna pata milta nahin

ghafilon ke lutf ko kafi hai duniyawi KHushi

aaqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin

kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti mein ho KHair

naKHuda milte hain lekin ba-KHuda milta nahin

ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar

sunne wale milte hain dard-ashna milta nahin

zindagani ka maza milta tha jin ki bazm mein

un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin

sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa

kya tajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin

puKHta tabaon par hawadis ka nahin hota asar

kohsaron mein nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin

shaiKH-sahib barhaman se lakh barten dosti

be-bhajan gae to mandir se Tika milta nahin

jis pe dil aaya hai wo shirin-ada milta nahin

zindagi hai talKH jine ka maza milta nahin

log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye

keh do be us ke jawani ka maza milta nahin

ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal

main ye samjha hun KHudi mein to KHuda milta nahin

chal base wo din ki yaron se bhari thi anjuman

hae afsos aaj surat-ashna milta nahin

manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ezaz hai

shah sab baste hain yan koi gada milta nahin

bar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl

shukr ki ja hai agar hajat-rawa milta nahin

chandni raaten bahaar apni dikhati hain to kya

be tere mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin

mani-e-dil ka kare izhaar 'akbar' kis tarah

lafz mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin

Source :
  • Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 41)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now