kya hua aur kyun hua malum hai
kyā huā aur kyuuñ huā mā'lūm hai
mujh ko terā faisla mā'lūm hai
pyaar kartā huuñ use to kyā huā
mujh ko merā dā.era mā'lūm hai
haath merā chhoḌ kar vo jā chukī
ab use bhī rāsta mā'lūm hai
lauT kar daftar se ab bolegā kaun
aaj tum ko kyā huā mā'lūm hai
zindagī ik ḳhat hai be-'unvān 'yash'
par hameñ us kā pata mā'lūm hai
kya hua aur kyun hua ma'lum hai
mujh ko tera faisla ma'lum hai
pyar karta hun use to kya hua
mujh ko mera daera ma'lum hai
hath mera chhoD kar wo ja chuki
ab use bhi rasta ma'lum hai
lauT kar daftar se ab bolega kaun
aaj tum ko kya hua ma'lum hai
zindagi ek KHat hai be-'unwan 'yash'
par hamein us ka pata ma'lum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.