dil ka kya hai ye to dil tha lag gaya
dil kā kyā hai ye to dil thā lag gayā
mas.ala ye hai ki puurā lag gayā
zā.iqa to baat ke āḳhir meñ thā
un ko pahlā lafz tīkhā lag gayā
itnī mehnat se bhulāyā thā use
yaad karne meñ hī hafta lag gayā
chāñd bhī aayā na bāhar abr se
us kī khiḌkī par bhī parda lag gayā
sāñvlī laḌkī kā husn aur khil uThā
maañ ke hāthoñ kaalā Tiikā lag gayā
pahle sab kī 'aql par taalā paḌā
baa'd meñ ik ghar pe taalā lag gayā
ḳhud hadaf ne hī badal lī thī jagah
maiñ ne samjhā thā nishāna lag gayā
dil ka kya hai ye to dil tha lag gaya
masala ye hai ki pura lag gaya
zaiqa to baat ke aaKHir mein tha
un ko pahla lafz tikha lag gaya
itni mehnat se bhulaya tha use
yaad karne mein hi hafta lag gaya
chand bhi aaya na bahar abr se
us ki khiDki par bhi parda lag gaya
sanwli laDki ka husn aur khil uTha
man ke hathon kala Tika lag gaya
pahle sab ki 'aql par tala paDa
ba'd mein ek ghar pe tala lag gaya
KHud hadaf ne hi badal li thi jagah
main ne samjha tha nishana lag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.