hum kisi KHwab mein rahe kuchh din
ham kisī ḳhvāb meñ rahe kuchh din
phir kisī aañkh se bahe kuchh din
ab to bujhne ko haiñ ka.ī āñkheñ
kaun dekhe paḌhe kahe kuchh din
jaane vaalā bhī dhun kā pakkā thā
rokte kitne qahqahe kuchh din
kuchh dinoñ meñ hī TūTnā hai bharam
is bharam meñ bhī kuchh rahe kuchh din
in charāġhoñ ko bujh hī jaanā thā
jalte kitne rahe-sahe kuchh din
hum kisi KHwab mein rahe kuchh din
phir kisi aankh se bahe kuchh din
ab to bujhne ko hain kai aankhen
kaun dekhe paDhe kahe kuchh din
jaane wala bhi dhun ka pakka tha
rokte kitne qahqahe kuchh din
kuchh dinon mein hi TuTna hai bharam
is bharam mein bhi kuchh rahe kuchh din
in charaghon ko bujh hi jaana tha
jalte kitne rahe-sahe kuchh din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.