nikle the zahr ban ke jo dil ki kaman se
nikle the zahr ban ke jo dil kī kamān se
vo tiir the ki lafz jo nikle zabān se
har ek harf ek nayā zaḳhm de gayā
ham kyā hī āshnā hue un ke bayān se
vo jā chuke the ham ko yaqīñ der se huā
rokā huā thā jin ko purāne gumān se
kuchh is tarah vo dil meñ utarte chale ga.e
jaise amaan aa ke mile be-amān se
ḳhāmoshiyoñ ne aur bhī uljhā diyā hameñ
vo baat kar rahe the dil-e-be-zabān se
kuchh fāsle bhī baḌh ga.e donoñ ke darmiyāñ
kuchh ham bhī bach na paa.e dil-e-bad-gumān se
ruḳhsat ke vaqt māthe pe bosa liyā thā jo
mahkā huā hai aaj bhī dil us nishān se
ham se nigāh pher ke kuchh yuuñ sitam kiyā
vo dekhte rahe hameñ apne jahān se
ham ne to chāhatoñ ko 'ibādat banā liyā
haT hī na paayā dil ye kisī āstān se
'ambar' savāl dil ke sar-e-'ām rakh diye
vo phir bhī mutma.in na hue imtihān se
nikle the zahr ban ke jo dil ki kaman se
wo tir the ki lafz jo nikle zaban se
har ek harf ek naya zaKHm de gaya
hum kya hi aashna hue un ke bayan se
wo ja chuke the hum ko yaqin der se hua
roka hua tha jin ko purane guman se
kuchh is tarah wo dil mein utarte chale gae
jaise aman aa ke mile be-aman se
KHamoshiyon ne aur bhi uljha diya hamein
wo baat kar rahe the dil-e-be-zaban se
kuchh fasle bhi baDh gae donon ke darmiyan
kuchh hum bhi bach na pae dil-e-bad-guman se
ruKHsat ke waqt mathe pe bosa liya tha jo
mahka hua hai aaj bhi dil us nishan se
hum se nigah pher ke kuchh yun sitam kiya
wo dekhte rahe hamein apne jahan se
hum ne to chahaton ko 'ibaadat bana liya
haT hi na paya dil ye kisi aastan se
'ambar' sawal dil ke sar-e-'am rakh diye
wo phir bhi mutmain na hue imtihan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.