uff wo rangin shabab aankhon mein
uff vo rangīñ shabāb āñkhoñ meñ
ik bahaktā sā ḳhvāb āñkhoñ meñ
mai-kashoñ meñ ye dhuum hai ki piyo
vo gulābī sharāb āñkhoñ meñ
zāhidoñ ko bhī shauq uThā ki piyeñ
jab se dekhī sharāb āñkhoñ meñ
dil meñ hangāma kar gayā barpā
vo machaltā shabāb āñkhoñ meñ
taar sab dil ke jhanjhanā uTThe
uff vo rangīñ rabāb āñkhoñ meñ
jab se mai-ḳhāna chhuT gayā afsos
ḳhuuñ hai dil meñ na aab āñkhoñ meñ
us pe sau shoḳhiyāñ nisār 'ziyā'
vo jo hai ik hijāb āñkhoñ meñ
uff wo rangin shabab aankhon mein
ek bahakta sa KHwab aankhon mein
mai-kashon mein ye dhum hai ki piyo
wo gulabi sharab aankhon mein
zahidon ko bhi shauq uTha ki piyen
jab se dekhi sharab aankhon mein
dil mein hangama kar gaya barpa
wo machalta shabab aankhon mein
tar sab dil ke jhanjhana uTThe
uff wo rangin rabab aankhon mein
jab se mai-KHana chhuT gaya afsos
KHun hai dil mein na aab aankhon mein
us pe sau shoKHiyan nisar 'ziya'
wo jo hai ek hijab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.