Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

rone ye shiddat hai ki ghabrā ga.iiñ āñkheñ

ashkoñ ye kasrat hai ki tañg aa ga.iiñ āñkheñ

dil saḳht kāfir par āñkhoñ meñ hayā hai

sunte jafā gila sharmā ga.iiñ āñkheñ

mehrāb meñ hotā nahīñ mastoñ guzāra

abrū ke tale ḳhuub jagah ga.iiñ āñkheñ

vo tālib-e-dīdār ke paas aa.eñ magar kyā

hairat ye aalam hai ki kuubā ga.iiñ āñkheñ

farhād ne kyā dekh ke sar teshe se phoḌā

sūjhā na kuchh is se ki tihrā ga.iiñ āñkheñ

dil de ke rahā girya-e-ḳhūnī mujhe shaġhl

baaqī thā jigar so use yuuñ kahā ga.iiñ āñkheñ

chaḌhte nahīñ ab merī nazar meñ mah-o-ḳhurshīd

dekhā tujhe kyā maiñ ne ki itrā ga.iiñ āñkheñ

aa kar tire kūche meñ na kuchh ham se ban aa.ī

jaate hue ik muñh thā ki barsā ga.iiñ āñkheñ

itnā bhī na samjhe ki balā-e-dil-o-dīñ hai

'nāzim' tumheñ kyuuñ us pasand aa ga.iiñ āñkheñ

rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen

ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gain aankhen

dil saKHt hi kafir ka par aankhon mein haya hai

sunte hi jafa ka gila sharma gain aankhen

mehrab mein hota nahin maston ka guzara

abru ke tale KHub jagah pa gain aankhen

wo talib-e-didar ke pas aaen magar kya

hairat ka ye aalam hai ki kuba gain aankhen

farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoDa

sujha na kuchh is ru se ki tihra gain aankhen

dil de ke raha girya-e-KHuni ka mujhe shaghl

baqi tha jigar so use yun kaha gain aankhen

chaDhte nahin ab meri nazar mein mah-o-KHurshid

dekha tujhe kya main ne ki itra gain aankhen

aa kar tere kuche mein na kuchh hum se ban aai

jate hue ek munh tha ki barsa gain aankhen

itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai

'nazim' tumhein kyun us ki pasand aa gain aankhen

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now