Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bikhar jaun sameTen mujhe uski aankhen

Shakeel Azmi

main bikhar jaun sameTen mujhe uski aankhen

Shakeel Azmi

maiñ bikhar jā.ūñ sameTeñ mujhe us āñkheñ

apnī palkoñ pe sajā leñ mujhe us āñkheñ

ruuTh jā.ūñ to ishāre se manā leñ mujh ko

aur kho jā.ūñ to DhūñDeñ mujhe us āñkheñ

ghar dahlīz se lag kar mirā rasta dekheñ

der se aa.uuñ to boleñ mujhe us āñkheñ

rāt-bhar mere ta'āqub meñ phireñ galiyoñ meñ

sub.h ho jaa.e to ro.eñ mujhe us āñkheñ

ghar meñ mil jaa.eñ to chhup jaa.eñ mirī āñkhoñ se

raah meñ paa.eñ to chheḌeñ mujhe us āñkheñ

maiñ jo chhup jā.ūñ kabhī raat tārīkī meñ

apnī palkoñ se TaToleñ mujhe us āñkheñ

ḳhatm ho jaa.e ye hoñToñ ke jazīroñ safar

pyaas bujh jaa.e Dubo deñ mujhe us āñkheñ

ab yahāñ koī nahīñ rahtā magar phir bhī 'shakīl'

jaise khiḌkī se pukāreñ mujhe us āñkheñ

main bikhar jaun sameTen mujhe us ki aankhen

apni palkon pe saja len mujhe us ki aankhen

ruTh jaun to ishaare se mana len mujh ko

aur kho jaun to DhunDen mujhe us ki aankhen

ghar ki dahliz se lag kar mera rasta dekhen

der se aaun to bolen mujhe us ki aankhen

raat-bhar mere ta'aqub mein phiren galiyon mein

subh ho jae to roen mujhe us ki aankhen

ghar mein mil jaen to chhup jaen meri aankhon se

rah mein paen to chheDen mujhe us ki aankhen

main jo chhup jaun kabhi raat ki tariki mein

apni palkon se TaTolen mujhe us ki aankhen

KHatm ho jae ye honTon ke jaziron ka safar

pyas bujh jae Dubo den mujhe us ki aankhen

ab yahan koi nahin rahta magar phir bhi 'shakil'

jaise khiDki se pukaren mujhe us ki aankhen

Source :
  • Book : Dil Parinda Hai (Pg. 49)
  • Author :Shakeel Azmi
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now