Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh zamanon ke asrar meri aankhen

Almeer Bekhud

KHamosh zamanon ke asrar meri aankhen

Almeer Bekhud

MORE BYAlmeer Bekhud

    ḳhāmosh zamānoñ ke asrār mirī āñkheñ

    tārīk shab-e-ġham meñ bedār mirī āñkheñ

    tārāj kiyā dil ko ik shoḳh tabassum ne

    pāmāl kareñgī ab pindār mirī āñkheñ

    maiḳhāne kī jānib se pherī hai nazar maiñ ne

    dīdār kī lazzat se sarshār mirī āñkheñ

    pāband-e-vafā lab haiñ chup chaap sar-e-mahfil

    be-bāk kareñgī ab iqrār mirī āñkheñ

    lā-chār masīhā kī tadbīr huī bātil

    āseb-e-mohabbat se bīmār mirī āñkheñ

    yūsuf kī ḳharīdārī hotī nahīñ dirham se

    ābād kareñgī ab bāzār mirī āñkheñ

    ro ro ke tire ġham meñ ik roz mire hamdam

    kar deñgī bayābāñ ko gulzār mirī āñkheñ

    barbād mohabbat ke qisse na sunāo tum

    vīrān dayāroñ ke āsār mirī āñkheñ

    rastoñ kī masāfat se thak haar gayā hai dil

    zanjīr-e-ta'alluq se bezār mirī āñkheñ

    KHamosh zamanon ke asrar meri aankhen

    tarik shab-e-gham mein bedar meri aankhen

    taraj kiya dil ko ek shoKH tabassum ne

    pamal karengi ab pindar meri aankhen

    maiKHane ki jaanib se pheri hai nazar main ne

    didar ki lazzat se sarshaar meri aankhen

    paband-e-wafa lab hain chup chap sar-e-mahfil

    be-bak karengi ab iqrar meri aankhen

    la-chaar masiha ki tadbir hui baatil

    aaseb-e-mohabbat se bimar meri aankhen

    yusuf ki KHaridari hoti nahin dirham se

    aabaad karengi ab bazar meri aankhen

    ro ro ke tere gham mein ek roz mere hamdam

    kar dengi bayaban ko gulzar meri aankhen

    barbaad mohabbat ke qisse na sunao tum

    viran dayaron ke aasar meri aankhen

    raston ki masafat se thak haar gaya hai dil

    zanjir-e-ta'alluq se bezar meri aankhen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now