aankhon mein aankhen Dal ke wo keh gaya tha kuchh
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke vo keh gayā thā kuchh
yā'nī ki us kī aañkh meñ bas rah gayā thā kuchh
TuuTā huā hai ab ye makāñ e'tibār kā
lafzoñ kī āñdhiyoñ meñ kabhī sah gayā thā kuchh
bosīda ho chuke the varaq bhī ḳhutūt ke
maazī ke saath haal mirā bah gayā thā kuchh
us ne jo dī thiiñ raunaqeñ sab chhīn lī ga.iiñ
merī fanā se apnī baqā keh gayā thā kuchh
aankhon mein aankhen Dal ke wo keh gaya tha kuchh
ya'ni ki us ki aankh mein bas rah gaya tha kuchh
TuTa hua hai ab ye makan e'tibar ka
lafzon ki aandhiyon mein kabhi sah gaya tha kuchh
bosida ho chuke the waraq bhi KHutut ke
mazi ke sath haal mera bah gaya tha kuchh
us ne jo di thin raunaqen sab chhin li gain
meri fana se apni baqa keh gaya tha kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.