dard hota hai asar hota hai
dard hotā hai asar hotā hai
ḳhuub hotā hai jidhar hotā hai
jab se ik daur vo guzrā ham par
din meñ bas ek pahar hotā hai
us kī darkār hameñ ho ke na ho
us kā ehsās magar hotā hai
aañkh hissa hai faqat chehre kā
'ilm insāñ kī nazar hotā hai
apne kamre meñ ye ehsās huā
ghar meñ ek aur bhī ghar hotā hai
har taraf mere khaḌī hai dīvār
kis taraf dekhiye dar hotā hai
Dar ke jo baat kahī thī maiñ ne
phir usī baat kā Dar hotā hai
dard hota hai asar hota hai
KHub hota hai jidhar hota hai
jab se ek daur wo guzra hum par
din mein bas ek pahar hota hai
us ki darkar hamein ho ke na ho
us ka ehsas magar hota hai
aankh hissa hai faqat chehre ka
'ilm insan ki nazar hota hai
apne kamre mein ye ehsas hua
ghar mein ek aur bhi ghar hota hai
har taraf mere khaDi hai diwar
kis taraf dekhiye dar hota hai
Dar ke jo baat kahi thi main ne
phir usi baat ka Dar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.