chappa chappa kona kona shahr ka humne chhana hai
chappa chappa konā konā shahr kā ham ne chhānā hai
vaqt ne karvaT badlī ab har moḌ yahāñ an-jānā hai
faanī hai ye maal ye daulat ye duniyā kī jhūTī shaan
yaad rakho jab aa.e qazā to sab kuchh chhoḌ ke jaanā hai
nazreñ ġhair kī chīzoñ par haiñ īmānoñ kī ḳhair nahīñ
farq vo shāyad bhuul ga.e kyā apnā kyā begānā hai
din ke ujle-pan meñ shab kī tārīkī ham bhuul ga.e
shor-sharāba kar ke thak kar raat ko phir so jaanā hai
aaj kitābeñ dekhīñ un kī asl vahāñ mā'lūm huī
lafzoñ ke saudā-gar haiñ kuchh karnā kuchh farmānā hai
'rāzī' kaun ḳhabar rakhtā hai kis ko us kā qurb milā
kyā hai qalandar kyā suufī kyā zāhid kyā dīvāna hai
chappa chappa kona kona shahr ka hum ne chhana hai
waqt ne karwaT badli ab har moD yahan an-jaana hai
fani hai ye mal ye daulat ye duniya ki jhuTi shan
yaad rakho jab aae qaza to sab kuchh chhoD ke jaana hai
nazren ghair ki chizon par hain imanon ki KHair nahin
farq wo shayad bhul gae kya apna kya begana hai
din ke ujle-pan mein shab ki tariki hum bhul gae
shor-sharaba kar ke thak kar raat ko phir so jaana hai
aaj kitaben dekhin un ki asl wahan ma'lum hui
lafzon ke sauda-gar hain kuchh karna kuchh farmana hai
'raazi' kaun KHabar rakhta hai kis ko us ka qurb mila
kya hai qalandar kya sufi kya zahid kya diwana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.