Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga

Abdul Hafiz Naeemi

dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga

Abdul Hafiz Naeemi

duā ko haath mirā jab kabhī uThā hogā

qazā-o-qadr chehra utar gayā hogā

jo apne hāthoñ luTe haiñ bas is pe zinda haiñ

ḳhudā kuchh un ke liye bhī to sochtā hogā

tirī galī meñ koī saa.e raat bhar ab bhī

surāġh-e-jannat gum-gashta DhūñDtā hogā

jo ġham aañch meñ pighlā kiyā aur aah na

vo aadmī to nahīñ koī devtā hogā

tumhāre sañg-e-taġhāful kyuuñ kareñ shikva

is aa.ine muqaddar TūTnā hogā

hai mere qatl shāhid vo āstīñ bhī magar

maiñ kis naam luuñ sau baar sochnā hogā

ye merī pyaas ke sāġhar tere laboñ sharāb

ravāj-o-rasm-e-mohabbat mojaza hogā

phir aarzū ke khañDar rañg-o-bū meñ Duub chale

fareb-ḳhurda koī ḳhvāb dekhtā hogā

sitāre bhī tirī yādoñ ke bujhte jaate haiñ

ġham-e-hayāt sūraj nikal rahā hogā

sadā kise deñ 'na.īmī' kise dikhā.eñ zaḳhm

ab itnī raat ga.e kaun jāgtā hogā

dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga

qaza-o-qadr ka chehra utar gaya hoga

jo apne hathon luTe hain bas is pe zinda hain

KHuda kuchh un ke liye bhi to sochta hoga

teri gali mein koi sae raat bhar ab bhi

suragh-e-jannat gum-gashta DhunDta hoga

jo gham ki aanch mein pighla kiya aur aah na ki

wo aadmi to nahin koi dewta hoga

tumhaare sang-e-taghaful ka kyun karen shikwa

is aaine ka muqaddar hi TuTna hoga

hai mere qatl ki shahid wo aastin bhi magar

main kis ka nam lun sau bar sochna hoga

ye meri pyas ke saghar tere labon ki sharab

rawaj-o-rasm-e-mohabbat ka mojaza hoga

phir aarzu ke khanDar rang-o-bu mein Dub chale

fareb-KHurda koi KHwab dekhta hoga

sitare bhi teri yaadon ke bujhte jate hain

gham-e-hayat ka suraj nikal raha hoga

sada kise den 'naimi' kise dikhaen zaKHm

ab itni raat gae kaun jagta hoga

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now