Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula

Nida Fazli

garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    garaj-baras pyāsī dhartī par phir paanī de maulā

    chiḌiyoñ ko daane bachchoñ ko guḌ-dhānī de maulā

    do aur do joḌ hamesha chaar kahāñ hotā hai

    soch samajh vāloñ ko thoḌī nādānī de maulā

    phir raushan kar zahr pyāla chamkā na.ī salībeñ

    jhūToñ duniyā meñ sach ko tābānī de maulā

    phir mūrat se bāhar aa kar chāroñ or bikhar

    phir mandir ko koī 'mīrā' dīvānī de maulā

    tere hote koī kisī jaan dushman kyuuñ ho

    jiine vāloñ ko marne āsānī de maulā

    garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula

    chiDiyon ko dane bachchon ko guD-dhani de maula

    do aur do ka joD hamesha chaar kahan hota hai

    soch samajh walon ko thoDi nadani de maula

    phir raushan kar zahr ka pyala chamka nai saliben

    jhuTon ki duniya mein sach ko tabani de maula

    phir murat se bahar aa kar chaaron or bikhar ja

    phir mandir ko koi 'mira' diwani de maula

    tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyun ho

    jine walon ko marne ki aasani de maula

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    garaj baras pyasi dharti phir pani de maula Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now