aise kahan nasib ki hon ham-kanar-e-dost
aise kahāñ nasīb ki hoñ ham-kanār-e-dost
qaa.em rahe kahīñ ḳhalish-e-intizār-e-dost
ik guuna dil ko mere sukūñ ho chalā thā phir
ye tū ne kyā kiyā nigah-e-be-qarār-e-dost
sab shikve dil ke miT ga.e bas ik javāb meñ
uf re fareb-e-vā'da-e-nā-ustuvār-e-dost
ġhurbat ke din bhī kaT hī ga.e ḳhair shukr hai
achchhā mirā salām le yād-e-dayār-e-dost
yaañ har ḳhalish junūñ-kada-e-iztirāb-e-dil
vaañ har nigah karishma-e-be-iḳhtiyār-e-dost
ai vaa.e sad-hazār tamannā-e-muztarib
ḳhalvat meñ bhī vahī hai fareb-e-vaqār-e-dost
go ham ne laakh kaam liyā zabt se 'niyāz'
pahchān hī ga.ī nigah-e-hoshyār-e-dost
aise kahan nasib ki hon ham-kanar-e-dost
qaem rahe kahin KHalish-e-intizar-e-dost
ek guna dil ko mere sukun ho chala tha phir
ye tu ne kya kiya nigah-e-be-qarar-e-dost
sab shikwe dil ke miT gae bas ek jawab mein
uf re fareb-e-wa'da-e-na-ustuwar-e-dost
ghurbat ke din bhi kaT hi gae KHair shukr hai
achchha mera salam le yaad-e-dayar-e-dost
yan har KHalish junun-kada-e-iztirab-e-dil
wan har nigah karishma-e-be-iKHtiyar-e-dost
ai wae sad-hazar tamanna-e-muztarib
KHalwat mein bhi wahi hai fareb-e-waqar-e-dost
go hum ne lakh kaam liya zabt se 'niyaz'
pahchan hi gai nigah-e-hoshyar-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.